My Diary

My Dablain Diary

(6-7th Oct. 2012)


It was Saturday-Sunday and Rajender one of our friend from GSI, Kolkata (Basically from Haryana) decided to take us (Me, Satish & Vikas Rana) to his village, Dablain in Narwana, Haryana. I always preferred to visit those places which are new for me.
Buffalo Ready for the Pose
Vikas Rana jo ki Rajender ka friend he (Hamara Bhi) ki car me gaye. Ham 6.30 PM ke kareeb University se nikal gaye Narvana ke liye. Is se pehle hum Oh My God Movie dekhne ka plan kar chuke the lekin tickets available na hone ki vajah se plan cancel kar diya aur finally Dablain chalne ke liye decide kiya.
University se hi late hone ki vajah se hum ne decide kiya ki khana bahar kha kar jayenge, kyonki rat ko der se phunchenege gaon me. It takes arroud 2hrs to reach there from Kurukshetra. Hum kareeb 9 baje Narwana Pahunche. One of Sweet Shopkeeper in the market suggested us a good Hotel for the dinner (No. 1 according to him) in the market. We searched that hotel and tried dinner in it. Dinner was really remarkable.
Mr. Satish (front) & Mr. Rajender Cooking Meal in the morning
Fir hum dinner karne ke bad Dablain ke liye nikle, yahan se kareeb 10 min ka rasta tha. Car hum ne Rajender ke Chcha ji ke ghar park kar di. Fir 5 min ke liye yahn ruk kar pani pi liya. Rajender ke papa bhi yahan aye the rat me hume lene ke liye. Fir hum sab un ke sath Rajender ke ghar chale gaye. Kareeb 10.30 baje un ke ghar pahuch gaye the. Kafi der tak Rajender ke papa ke sath hamari baat cheet chalti rahi aur is beech Rajender hame doodh garma kar ke laya peen eke liye. Mene pehli bar kisi ke yahan bade se katore me doodh piya hoga. Doodh ke sath hum ne mithayi bhi khayi jo ki hum Narwan Market se ek mithai ki dukan se laye the ate waqt, jis ne haumen dinner ke liye No. 1 hotel (RL Resort) suggest kiya. Itne bade katore me Doodh peene ka yeh wonderful experience tha. I really ejoyed. Rajender ke papa hamare beech me apni job ka experience share kar rahe the. Un ki baton me sadapan insaniyat jhlak rahi thi. Hame bahut hi apne jaisa lag raha tha un se baat karke. Fir der rat hum charon dost son ke liye upar wale kamre me gaye. Wahn hum kareeb 1 baje tak baat karte rahe aur fir so gaye kyonki subah bhi jaldi uthan tha. Us ne kaha ki yahan gaon me log jaldi uthte hein aur ap un ki awaz se hi uth jaoge.
Sach me hi mujhe subah jaldi hi gaon walon ki awazen sunai dene lagi thi, lekin mene ansuna kar ke aur sone ki koshish ki aur kareeb 7 baje utha.


 
 

 

 






Subah hum charon gao me ghumne chale gaye aur kuchh photography bhi ki. Sab se pehle hum Rajender ke Chacha ji ke ghar gaye jin ke ghar par raat ko car park kit hi. Yahan hum ne chay pee aur biscuits khaye. Is ghar me mene kapas ko alag karte hue dekha aur pehli bar mene kapas ke beej aur kapas ko nazdeek se dekha. Yahn par hamaaeri mulakat Rajender ke Dada ji se bhi hui jo apne time pe school teacher the un se baat kar ke bhi achha laga. Mene un ke sathh bhi photo click ki. Fir hum ek aur ghar me bhi gaye jo ki Rajender ke close relation me the. Fir wapis us ke ghar ja kar Nahaye aur isi beech khana banana ki tyari shuru ki, khair mera koi yogdan nahi tha banane me. Satish, Rajender aur Vikas Rana khana banane me busy ho gaye the. Mijhe bhookh lag rhi thi lekin me sirf khana ban ne ka wait kar raha tha. Mein kafi der bhookhe peit nahi reh sakta tha, kyonki mere ab stomach me acid ban na shuru ho gaya tha. Thodi hi der me us ke pados se bhi kuchh rotiyan, dal, doodh aur lasi ana shuru ho gaya tha hamare liye, jo ki usi ke pariwar se the (Chacha, Chachi etc.). Satish ne chatny bhi banayi khud pathar ke hamam daste me koot ke. Fir thodi der me hum sab ne khan khaya lasi aur ghee ke sath. Khana hum ne ji bhar ke khaya aur bahut maza aya khane mein. Khan khan eke baad hum ne Rajender ke papa ke sath photo bhi khinchwa lit hi. Fir us bad hu Kurukshetra ke liye chal pade, lekin abhi ek aur jagah jana tha kisi se milne jo ki Rajender ke dost tha, jo ki handicapped the but quite hard working and intelligent. In ke ghar par haum 10 min ruke honge is beech mene apna mobile recharge karne ke liye rkha diya tha, aur fir hum pani pee ke yahan se nikal pade. Rajender ne humen gaon se bahar humein see off kar ke kurkshetra wala route dikha diya aur who apne ghar wapis chala gaya aur fir hum bhi Kurkhetra ke liye nikal pade kareeb 12.00 noon. Hum kurukshtera hum kareeb 2 baje pahunch gaye the. Mein aur Satish University 3rd gate uttar gaye the kyonki hume hair cutting karwani thi wahan. Now Vikas Rana was alone and he also left for his home. This was all about my visit to Dablain Village of Narwana in Jind Distt. of Haryan with my friends.

1 comment:

  1. originality resides in haryanvi villages only... nice experience

    ReplyDelete